Namaz e Janaza ka Islami Hukm aur Ahmiyat 

0
35
Namaz e Janaza
Namaz e Janaza

Islam mein janaze ki namaz padhne ka maqsad Allah se wafat pa chuke shakhs ke liye maghfirat aur rehmat ki dua karna hota hai. Ye namaz ek faraid-e-kifaya hai, yani agar kuch log isko ada kar lein to sab ka farz ada ho jata hai.

Namaz e Janaza ek tareeqa hai jisme zinda log Allah se marhoom ke liye dua karte hain ke Allah uske gunahon ko maaf kare aur usko jannat mein jagah ata farmaaye. Is amal ke zariye, zinda log apni akhirat ki yaad tazah karte hain aur apni zindagi mein achhaiyon ki taraf rujhan rakhne ki koshish karte hain. Namaz e Janaza se musalmanon mein ek ijtimai jazba paida hota hai aur wo ek dosre ke liye dua karte hain. Ye namaz ek moqa hota hai marhoom ke liye dua karne ka aur zinda logon ko apni maut ki yaad dilane ka.

Namaz e Janaza se Pehle Tayyari – Mayyat ki Ghushal 

Aasaan alfazon mein agar kahen to maiyat ka poora badan bhiga dena ghusl hai, lekin maiyat ka ghusl karane ka sunnat tareeqa hai, jaise zinda insaan ka ghusl hota hai. Ghusal karane se darna nahi chahiye. Behtar ye hai ke maiyat ka kareebi rishtedar ghusl karaye, kyunki wo mohabbat se ghusl dega. Agar kareebi rishtedar na ho, to jo muttaqi aur ilm wala ho, wo ghusl karaye. Jaise zinda insaan stinja aur wuzu karta hai, waise hi maiyat ko bhi stinja aur wuzu karana chahiye, taake safai ho. Maiyat ka sharamgah saaf karte waqt dhyaan rahe ke usko takleef na di jaye, aur sab kuch parde mein ho.

Ghusal mein aap thanda ya gunguna paani istemal kar sakte hain, jaise maiyat ko pasand tha. Behtar hai ke paani mein beri ke patte daal diye jayein, ya aaj ke daur mein sabun aur shampoo ka istemal kiya jaye taake jism saaf aur khushboodar ho jaye. Aap kafoor ka bhi istemal kar sakte hain taake jism se badboo door ho. Pahle sidhe ki taraf, phir ulte ki taraf paani dalenge aur sabun laga kar achhi tarah se ghusl de denge.

Maiyat Ko Kafan Dene Ka Tareeqa

Kafan dene ke liye aap resham ka kapda nhi le sakte kyuki mard ko resham pahnna haram hai aurat ke liye ye ho sakta hai lekin jinda insan iska jada haqdar hai mard ko kafan dene ke liye 3 chadar chahiye hota hai aur aurat ke liye 5 chadar liya jata hai ye kapda kuchh bhi ho sakta hai kabhi kabhi chadar na ho to istemal ka kapda bhi ho sakta hai kafan safed saf suthri rahna sunnat apne chadre li lapeta aur bandh diya iska koi mukhtalif tareeqa nhi hai ye maiyat ka halat dekh kar kar sakte hai aur khushi laga de

Namaz e Janaza Ada Karne ka Mukammal Tareeqa

Imam ki niyat hai namaz padhane ki to vo Allahu Akbar padhta hai aur hath bandh lega uske bad aap surah alfatiha padhenge ye farz hai uske baad koi aur surah padhna sunnat hai uske baad firallah hu akbar aap rafadein kar bhi sakte hai aur nhi bhi Lenin sunnat se sabit nhi hai uske daroode Ibrahim padhenge ye wajib hai fir 3ri martaba Allah hu akbar fir aap dua padhenge dua ke bad fir allahhu akbar fir salam karenge assalamu alaikum warahmatullah aap 1 taraf bhi kar sakte hai 2 taraf bhi kar sakte hai

Takbirat: Char Takbirein aur Unka Maqsad

Dua: Namaz mein Padhi Jaane Wali Duaon ka Zikr

Janaze ke waqt padhi jane wali dua (Roman Urdu mein):

Janaaze ki namaz ke baad ki dua:

Allahummaghfir lihayyina, wa mayyitina, wa shaahidina, wa ghaa’ibina, wa sagheerina, wa kabeerina, wa dhakarina, wa unthaana. Allahumma man ahyaytahu minna fa ahyihi ‘alal Islam, wa man tawaffaytahu minna fatawaffahu ‘alal emaan.

“Ya Allah! Hamare jo zinda hain unhein baksh de, aur jo wafat pa chuke hain unhein bhi baksh de. Hamare jo haazir hain unhein bhi, aur jo ghaib hain unhein bhi. Hamare chhote bade, mardon aur auraton sab ko baksh de. Ya Allah! Jise tu zinda rakhna chaahe to Islam par zinda rakh, aur jise tu maut dena chahe to usay Iman par maut ata farma.”

Conclusion:

Namaz e Janaza Islam ka ek ahm amal hai jo marhoom ke liye Allah se maghfirat aur rehmat ki dua karne ka zariya hai. Ye ek ijtimai ibadat hai jo musalmanon mein bhai chara aur ek dusre ke liye dua karne ka jazba paida karti hai. Islamic jankari ke mutabiq, janaze ki namaz humein duniya ki faani haqeeqat ko yaad dilati hai aur zindagi ko Islam ke ahkaam ke mutabiq guzarne ki hidayat deti hai. Mayyat ka ghusl, kafan aur namaz e janaza ke adaab humare deen ke zaroori ahkam hain, jo marhoom ke izzat aur akhirat ki behtari ke liye kiye jate hain.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here